Mai Khud ko likhunga
Agar mauka mila kabhi, to kagaz par apni thakaan likhunga, Mazboot kandhon ke peeche chhupa, woh chhota sa insaan likhunga. Woh jo har mushkil mein muskura kar kehta hai, "Sab theek hai," Us ek jhooth ke peeche dabe, hazaaron bebas toofaan likhunga. Nahi likhunga main sirf apni jeet ke charche duniya mein, Main to haar kar bhi jo muskuraya, woh lahu-luhaan swabhimaan likhunga. Likhunga woh raatein, jab takiya gawah tha meri siskiyon ka, Par subah uthkar phir se pehla, woh chattan jaisa insaan likhunga. Main likh paaun kuch to, main khud ko likhunga, Apni rooh ke har zakhm ko, apna hi sammaan likhunga.......

Comments
Post a Comment